dikha rahi hai jahan dhup ab asar apna
bikherta tha wahin saya ek shajar apna
phalon ka ab ke bhi pahle se ho gaya sauda
daraKHt chhu na sakenge koi samar apna
bahut hi tez tha KHanjar hawa ke hathon mein
bacha saka koi tair na baal-o-par apna
kabhi jo samne aaya to chhup gaya hun kabhi
ye ek khel raha KHud se umr-bhar apna
abhi to baqi hain manzil ki Thokaren kuchh aur
yahin pe KHatm nahin hai abhi safar apna
ye kaun shama liye pesh pesh chalta raha
dikhai bhi na diya kaun tha KHizar apna
nizam-e-jabr ki wo kar raha hai phir tausia
baDha raha hai wo phir halqa-e-asar apna
koi nahin hai jo shamshir chhin le us se
chhupae phirta hai har ek shaKHs sar apna
kisi pe khulta bhi kya apna karb-e-gham 'mohsin'
na koi marsiyan-KHwan tha na nauhagar apna
Ghazal
Dikha rahi hai jahan dhup ab asar apna
Mohsin Zaidi