اردو हिंदी
Dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal | Shaahi Shayari
dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal

Ghazal

Dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal

Nazeer Akbarabadi

;

dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal
pari-ru tund-KHu sarkash haTela chulbula chanchal

wo aariz aur jabin-taban ki hon dekh us ko sharminda
qamar KHurshid zohra shama shoala mushtari mashal

kafon mein ungliyon mein lal mein aur chashm-e-maigun mein
hina aafat sitam funduq misi jadu fusun kajal

badan mein jama-e-zar-kash sarapa jis pe zeb-awar
kaDe bunde chhaDe chhalle anguThi nau-ratan haikal

nazakat aur latafat wo kaf-e-pa tak ki hairan hun
saman gul lala nasrin nastaran darparniyan maKHmal

sarasar pur-fareb aisa ki zahir jis ki nazron se
shararat shoKHi ayyari tarah phurti dagha chhalbal

'nazir' ek umr-e-ishrat ho mile aisa pari-paikar
agar ek aan agar ek dam agar ek chhan agar ek pal