dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
chuno jabin par kabhi jo afshan to niklen tare na aasman par
nahin hain shabnam ke subh qatre ye barg-e-gul-ha-e-bostan par
ba-yaad-e-atish-ruKHan phaphule paDe hain har phul ki zaban par
kahan sar-e-shama par hai shoala nigah Tuk kije shama-dan par
ki ustuKHan hai ghiza hamari huma ye baiTha hai ustuKHan par
asir-e-nau ki KHabar le aa kar zara tu sayyaad-e-zulm-pesha
yahan talak hun qafas mein taDpa ki mere sare hain dhajjiyan par
hamare is ru-e-zard par jo sarishk-e-afshan hai abr-e-mizhgan
na dekhi lali kabhi barasti kisi ne yun kisht-e-zafaran par
koi gharibon ke marne se hawa bandhi hai kisi ki zalim
agar sulaiman-e-waqt hai to qadam na rakh mor-e-na-tawan par
bana ke aaina saf us ko kiya hai husn-e-ada se waqif
ilahi aaina-saz ki ab shitab patthar paDe zaban par
jahan mein us ke shahid ka ho na kyunki rutba buland yaro
yahi hai mearaj aashiqon ki jo sar ho baad-az-fana sinan par
kare chaman mein na kyunki barpa tera ye buTa sa qad qayamat
nisar aankhon pe kya hai nargis ki ghuncha qurban hai dahan par
rahi hai bazm-e-jahan mein munim sada bulandi ke sath pasti
bisan-e-fawwara qasd mat kar zamin se jaane ka aasman par
safar adam ka kahan kare hai ye bahr-e-hasti se ek dam mein
hubab chashmak-zani kare hai KHizar teri umr-e-jawedan par
umid kya charKH-e-sifla-parwar hamein ho ab tujh se ek nan ki
ki tere hathon se mah-e-nau ne yahan qanaat ki nim nan par
'nasir' kahte to sab yahan hain ki us ke aashiq hain hum wa-lekin
baDa sitam ho baDa ghazab ho agar wo aa jae imtihan par

Ghazal
Dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
Shah Naseer