dikha ai naKHun-e-gham lutf-e-baham aise saman par
gareban ka ho munh daman pe daman ka gareban par
wo soe ho ke be-parda yahan kis kis tamanna se
magar sadqe hawa ke raat bhar roe daraKHshan par
tumhaare dast-e-nazuk ne jo kin aThkheliyan us se
utar aaya gareban muskura kar pa-e-daman par
sikhaya chashm ko kya aatish-e-gham ne dam-e-girya
har ek aansu bana hai aabla daman-e-mizhgan par
jigar mein kis maze se chuTkiyan leta hai chhup-chhup kar
guman-e-shahid-e-pahlu hai mujh ko dard-e-pinhan par
main wo shaida-e-gesu hun ki aksar mausam-e-gul mein
mera pa-e-nazar paDta hai zanjir-e-gulistan par
wo bulbul hun ghazal-KHwan ai 'shagufta' bagh-e-alam mein
garan hota nahin mera suKHan tab-e-suKHan-dan par
Ghazal
Dikha ai naKHun-e-gham lutf-e-baham aise saman par
Munshi Khairati Laal Shagufta