diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
hum bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai
kitne dinon ke pyase honge yaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai
aankhon ko bhi le Duba ye dil ka pagal-pan
aate jate jo milta hai tum sa lagta hai
is basti mein kaun hamare aansu ponchhega
jo milta hai us ka daman bhiga lagta hai
duniya bhar ki yaaden hum se milne aati hain
sham Dhale is sune ghar mein mela lagta hai
kis ko patthar marun 'qaisar' kaun paraya hai
shish-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
Ghazal
Diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
Qaisar-ul-Jafri