diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha
tale ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha
kabhi kabhi aati thi pahle wasl ki lazzat andar tak
barish tirchhi paDti thi to kamra gila hota tha
shukr karo tum is basti mein bhi school khula warna
mar jaane ke baad kisi ka sapna pura hota tha
jab tak matha chum ke ruKHsat karne wali zinda thi
darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha
bhale zamane the jab sher suhulat se ho jate the
nae suKHan ke nam pe 'azhar' 'mir' ka charba hota tha
Ghazal
Diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha
Azhar Faragh