diwar phandne mein dekhoge kaam mera
jab dham se aa kahunga sahab salam mera
ham-sae aap ke main leta hun ek haweli
is shahr mein hua jo chande qayam mera
jo kuchh ki arz ki hai so kar dikhaunga main
wahi na baat samjho yunhi kalam mera
achchha mujhe satao jitna ki chaho main bhi
samjhunga gar hai insha-allah nam mera
main ghash hua kaha jun saqi ne mujh se hans kar
ye sabz jam tera aur surKH jam mera
puchha kisi ne mujh ko un se ki kaun hai ye
to bole hans ke ye bhi hai ek ghulam mera
mahshar ki tishnagi se kya KHauf sayyad 'insha'
kausar ka jam dega mujh ko imam mera
Ghazal
Diwar phandne mein dekhoge kaam mera
Insha Allah Khan u0027Inshau0027