اردو हिंदी
Diwar pe rakkha to sitare se uThaya | Shaahi Shayari
diwar pe rakkha to sitare se uThaya

Ghazal

Diwar pe rakkha to sitare se uThaya

Anjum Saleemi

;

diwar pe rakkha to sitare se uThaya
dil bujhne laga tha so nazare se uThaya

be-jaan paDa dekhta rahta tha main us ko
ek roz mujhe us ne ishaare se uThaya

ek lahr mujhe khinch ke le aai bhanwar mein
wo lahar jise main ne kinare se uThaya

ghar mein kahin gunjaish-e-dar hi nahin rakkhi
buniyaad ko kis shak ke sahaare se uThaya

ek main hi tha ai jins-e-mohabbat tujhe arzan
aur main ne bhi ab hath KHasare se uThaya