diwar pe rakkha hua miTTi ka diya main
sab kuchh kaha aur raat se kuchh bhi na kaha main
kuchh aur bhi maskan the mere dil ke alawa
lagta hai kahin aur bhi mismar hua main
is dukh ko to main Thik bata bhi nahin pata
main KHud ko mayassar tha magar mil na saka main
jaga hun magar KHwab ki dahshat nahin jati
kya dekhta hun yar tujhe bhul gaya main
suraj ke ufuq hote hain manzil nahin hoti
so Dhalta raha jalta raha chalta raha main
ek ishq-qabila meri miTTi mein chhupa tha
ek shaKHs tha lekin koi ek shaKHs na tha main
ek ghunT ki waqat mere pindar se kam thi
is baat se waqif mera mashkiza hai ya main
ek jism mein rahte hue hum dur bahut the
aankhen na khulin mujh pe na aankhon pe khula main
kuchh aur bhi darkar tha sab kuchh ke alawa
kya hoga jise DhunDta tha tere siwa main
Ghazal
Diwar pe rakkha hua miTTi ka diya main
Saud Usmani