اردو हिंदी
Diwar-o-dar mein simTa ek lams kanpta hai | Shaahi Shayari
diwar-o-dar mein simTa ek lams kanpta hai

Ghazal

Diwar-o-dar mein simTa ek lams kanpta hai

Bilqis Zafirul Hasan

;

diwar-o-dar mein simTa ek lams kanpta hai
bhule se koi dastak de kar chala gaya hai

sabr o shakeb baqi tab o tawan salamat
dil misl-e-ud jal jal KHushbu bikherta hai

hum KHak ho chuke the apni hi hiddaton mein
miTTi hai rakh phir se paikar naya bana hai

ek zaKHm zaKHm chehra TukDon mein hath aaya
aur hum samajh rahe the aaina juD gaya hai

sahra-e-nim-shab mein be-as reton par
din bhar ke kusht o KHun ka mara taDap raha hai

dahshat-zada zamin par wahshat bhare makan ye
is shahr-e-be-aman ka aaKHir koi KHuda hai

mil jae aablon ko dad-e-musafirat ab
ab dard-e-be-nawai kuchh had se bhi siwa hai

hum par to khul chuka bhi dar band har bala ka
kya jaaniye ajal ko ab intizar kya hai

gul-chiniyon ka hum se 'bilqis' haal puchho
angusht-e-arzu mein kanTa utar gaya hai