diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha
main jis zamin par tha wahan aasman na tha
main dushmanon ki tarah raha KHud se dur kyun
apne siwa to koi mere darmiyan na tha
qadmon mein tapti ret thi chaaron taraf thi aag
aur zindagi ke sar par koi saeban na tha
DhunDi thi man ki god mein ja-e-aman magar
bechainiyon ko meri wahan bhi aman na tha
mere safar mein bhiD jo thi ham-qadam meri
yaadon ki thi baraat koi karwan na tha
apne hisar-e-jism mein kab rah saka 'nazar'
dekha gaya tha us ko jahan wo wahan na tha

Ghazal
Diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha
Badnam Nazar