diwar ab kahin na koi dar dikhai de
chaaron taraf bas ek samundar dikhai de
ghar par nazar karun to bayaban sa lage
aur dasht-e-be-kanar mujhe ghar dikhai de
KHwabon ke darmiyan hai muddat se ek jang
maidan-e-kar-zar na lashkar dikhai de
ye kya ki phir bhi jism hai apna lahu-luhan
aata hua kahin se na patthar dikhai de
har sham zindagi ka naya KHwab le ke aae
har subh apni maut ka manzar dikhai de
is tarah paDh rahe hain wo tahrir hath ki
hathon mein jaise mera muqaddar dikhai de
tir o kaman aap bhi 'mohsin' sambhaaliye
jab dosti ki aaD mein KHanjar dikhai de
Ghazal
Diwar ab kahin na koi dar dikhai de
Mohsin Zaidi