اردو हिंदी
Diwanon par hath na Dalo is zid mein pachhtaoge | Shaahi Shayari
diwanon par hath na Dalo is zid mein pachhtaoge

Ghazal

Diwanon par hath na Dalo is zid mein pachhtaoge

Mahshar Badayuni

;

diwanon par hath na Dalo is zid mein pachhtaoge
sare shahr mein kis kis ko tum zanjiren pahnaoge

kya sahra ki tapti miTTi apna sar na uThaegi
tum to ye diwar baDha kar sahra tak le jaoge

hum bhi dua karte hain ki tum muKHtar-e-sarir-e-koh bano
lekin tum se milna kya hai patthar hi barsaoge

bazm-arai achchhi lekin aisi bazm-arai kya
daman daman aag laga di aur charagh jalaoge

phul hain koi KHar nahin hum aao hum mein aa baiTho
KHushbu mein aabaad rahoge KHushbu hi kahlaoge

aankhen nichi kar lo raat ke raste na-hamwar bhi hain
chand ko takte chalne walo dekho Thokar khaoge

harf to kar-e-kilk-o-zuban hai naql-e-harf to aasan hai
zaKHm koi taswir nahin hai jis ke naqsh banaoge

dar ko chhoDa dair ko chhoDa dar mein ab hai dil yaro
kya unwan tarashoge ab kya ilzam lagaoge