diwanon mein zikr-e-dil-e-diwana rahega
jab main na rahunga mera afsana rahega
gesu ki bhi nighat se wo begana rahega
diwana teri zulf ka diwana rahega
majnun ne kaha najd mein mujh se dam-e-aKHir
aabaad tere dam se ye virana rahega
hathon mein wo mehndi bhi malen dil ka lahu bhi
donon ka magar rang judagana rahega
kabe ki taraf jaane ko hum jaenge zahid
dil mahw-e-KHyal-e-rah-e-but-KHana rahega
aaram milega na zamane mein 'jigar' ko
dil mein jo na tu ai gham-e-jaanana rahega
Ghazal
Diwanon mein zikr-e-dil-e-diwana rahega
Jigar Biswani