diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai
jab se tera naqsh-e-kaf-e-pa yaad nahin hai
afsurdagi-e-ishq ke khulte nahin asbab
kya baat bhula baiThe hain kya yaad nahin hai
hum dil-zadgan jite hain yaadon ke sahaare
han miT gae jis par wo ada yaad nahin hai
ghar apna to bhuli hi thi aashuftagi-e-dil
KHud-rafta ko ab dar bhi tera yaad nahin hai
lete hain tera nam hi yun jagte sote
jaise ki hamein apna KHuda yaad nahin hai
ye ek hi ehsan-e-gham dost hai kya kam
be-mehri-e-dauran ki jafa yaad nahin hai
be-barse guzar jate hain umDe hue baadal
jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai
is bar 'wahid' aap ki aankhen nahin barsin
kya jhumti zulfon ki ghaTa yaad nahin hai
Ghazal
Diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai
Waheed Akhtar