diwangi ne kya kya aalam dikha diye hain
pariyon ne khiDkiyon ke parde uTha diye hain
allah-re farogh us ruKHsar-e-atishin ka
shamon ke rang misl-e-kafur uDa diye hain
aatish-nafs hawa hai gulzar ki hamare
bijli giri hai ghunche jab muskura diye hain
sau bar gul ko us ne talwon tale mala hai
kaTwa ke sarw shamshad akasr jala diye hain
insan-e-KHub-ru se baqi rahe tafawut
is waste pari ko do par laga diye hain
abru-e-kaj se KHun-e-ushshaq kya ajab hai
talwar ne nishan-e-lashkar miTa diye hain
kis kis ko KHub kahiye allah ne buton ko
kya gosh o chashm kya lab kya dast-o-pa diye hain
be-yar baam par jo wahshat mein chaDh gaya hun
parnale rote rote main ne baha diye hain
wasf-e-kaman-e-abru jo kijiye so kam hai
be-tir bismilon ke tude laga diye hain
roya hun yaad kar ke main teri tund-KHui
sarsar ne jab charagh-e-raushan bujha diye hain
soz-e-dil-o-jigar ki shiddat phir aaj-kal hai
phir pahluon ke takiye mashal bana diye hain
shamon ko tu ne dil se parwanon ke utara
aankhon se bulbulon ki gulshan gira diye hain
wo baada-kash hun meri aawaz-e-pa ko sun kar
shishon ne sar huzur-e-saghar jhuka diye hain
ashkon se KHana-e-tan 'atish' KHarab hoga
qasr-e-sipihr-e-rifat baran ne Dha diye hain
Ghazal
Diwangi ne kya kya aalam dikha diye hain
Haidar Ali Aatish