diwangi ne KHub karishme dikhae hain
aksar tere baghair bhi hum muskurae hain
ab ai gham-e-zamana tera kya KHayal hai
hum apne sath le ke gham-e-ishq aae hain
mai-KHane ki taraf jo baDhe hain to hoshiyar
kaba ka ruKH kiya hai to hum Dagmagae hain
ek subh-e-zar-nigar ki KHatir tamam raat
hum ne kai charag jalae bujhae hain
hum par bhi rahguzar-e-mohabbat ko naz hai
hum ne bhi kuchh nuqush miTa kar banae hain
yun bhi mili hai mujh ko mere zabt-e-gham ki dad
aksar wo sar jhukae hue muskurae hain
hairat se dekhta hai zamana hamein 'ayaz'
us tak pahunch pahunch ke jo hum lauT aae hain
Ghazal
Diwangi ne KHub karishme dikhae hain
Ayaz Jhansvi