diwane diwane Thahre khel gae angaron se
aabla-pai ab koi puchhe in zehni bimaron se
baat to jab hai shole niklen barbat-e-dil ke taron se
shor nahin naghme paida hon teghon ki jhankaron se
kis ne basaya tha aur un ko kis ne yun barbaad kiya
apne lahu ki bu aati hai in ujDe bazaron se
kaise gale milte hain gale se ab ke bahaaran bhul gae
yaron ne bharpur galon ka kaam kiya talwaron se
keh do mughanni se ab Thahre KHwab-awar naghme roke roke
koi hamein lalkar raha hai parbat se minaron se
shah ka ruKH hai utra utra shah kya deta hai shatir
haari bazi jit gae hum paidal se rah-waron se
waqt ke tufani dhaaron mein kitne sahil Dub gae
nit nae sahil phir ubhre hain in tufani dhaaron se
pal mein tola pal mein masha pal mein sab darham barham
zarra-e-KHaki nazren milae baiThe hain sayyaron se
patthar ka dil pani pani zindan ki tariKHon par
aaj talak rah rah kar chiKHen uThti hain diwaron se
Ghazal
Diwane diwane Thahre khel gae angaron se
Wamiq Jaunpuri