diwana-pan aur bekari milti hai 
ishq mein aksar aisi KHwari milti hai 
log pata hai kyun itne diwane hain 
ek model se shakl tumhaari milti hai 
kabhi kabhi to sher bhi hone lagte hain 
dil ki choT se KHush-guftari milti hai 
life nahin hai bed-of-roses yaad rakho 
rasta chalte sau dushwari milti hai 
aur kisi se milti hai wo shamon ko 
jis laDki se soch hamari milti hai 
us ke naz uThane ko hum baiThe hain 
dekhiye kab ye zimmedari milti hai
        Ghazal
Diwana-pan aur bekari milti hai
Fakhr Abbas

