اردو हिंदी
Diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye | Shaahi Shayari
diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye

Ghazal

Diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye

Joshish Azimabadi

;

diwana hun mujhe na tasahul se bandhiye
hathon ko KHub rishta-e-kakul se bandhiye

ahl-e-chaman ko itna pareshan na kijiye
bikhre hue ye baal hain sumbul se bandhiye

hargiz na hojiye kas-o-na-kas se multaji
is gham-kade mein dhyan tawakkul se bandhiye

ye KHub jaanta hun kasi ko karoge qatl
KHanjar kamar mein aap tajahul se bandhiye

is gulshan-e-jahan mein bad-ahd hain sabhi
bulbul yahan na ahd kisi gul se bandhiye

ahwal ek hai dil-e-wahshat-sarisht ka
ya juz se bandhiye ise ya kul se bandhiye

'joshish' tu is tarah ki zaminon mein yaad rakh
mazmun jo bandhiye so tammul se bandhiye