اردو हिंदी
Diwana hun bikhre moti chunta hun | Shaahi Shayari
diwana hun bikhre moti chunta hun

Ghazal

Diwana hun bikhre moti chunta hun

Mushtaq Aazar Fareedi

;

diwana hun bikhre moti chunta hun
lamha lamha joD ke sadiyan bunta hun

tanha kamre suna aangan raat udas
phir bhi ghar mein sargoshi si sunta hun

mujh ko dimak chaT rahi hai sochon ki
main apne andar hi andar ghunta hun

hanste phul kahan hain meri qismat mein
main to bas murjhai kaliyan chunta hun

kahne ko KHamosh hai meri zat magar
sunte ko to sab ki baaten sunta hun

'azar' ek mauhum si hai ummid abhi
jis ke sahaare KHwab sunahre bunta hun