اردو हिंदी
Dip tha ya tara kya jaane | Shaahi Shayari
dip tha ya tara kya jaane

Ghazal

Dip tha ya tara kya jaane

Ada Jafri

;

dip tha ya tara kya jaane
dil mein kyun Duba kya jaane

gul par kya kuchh bit gai hai
albela jhonka kya jaane

aas ki maili chadar oDhe
wo bhi tha mujh sa kya jaane

rit bhi apni rut bhi apni
dil rasm-e-duniya kya jaane

ungli tham ke chalne wala
nagri ka rasta kya jaane

kitne moD abhi baqi hain
tum jaano saya kya jaane

kaun khilauna TuT gaya hai
baalak be-parwa kya jaane

mamta oT dahakte suraj
aankhon ka tara kya jaane