dip se dip jalao to koi baat bane
git par git sunao to koi baat bane
qatra qatra na pukaro mujhe bahti nadiyon
mauj-dar-mauj bulao to koi baat bane
raat andhi hai guzar jaegi chupke chupke
jal kirnon ka bichhao to koi baat bane
samne apne hi KHamosh khaDa hun kab se
darmiyan tum bhi jo aao to koi baat bane
dastan chand sitaron ki sunane walo
tum mera khoj lagao to koi baat bane
muntazir main to ba-har-gam hun sahil ki tarah
surat-e-mauj tum aao to koi baat bane
jhankta kaun hai ab dil ke shagafon mein 'rashid'
zaKHm chehre pe sajao to koi baat bane

Ghazal
Dip se dip jalao to koi baat bane
Rasheed Qaisrani