din se dur, na mazhab se alag baiTha hun
teri dahliz pe hun, sab se alag baiTha hun
Dhang ki baat kahe koi, to bolun main bhi
matlabi hun, kisi matlab se alag baiTha hun
bazm-e-ahbab mein hasil na hua chain mujhe
mutmain dil hai bahut, jab se alag baiTha hun
ghair se dur, magar us ki nigahon ke qarin
mahfil-e-yar mein is Dhab se alag baiTha hun
yahi maslak hai mira, aur yahi mera maqam
aaj tak KHwahish-e-mansab se alag baiTha hun
umr karta hun basar gosha-e-tanhai mein
jab se wo ruTh gae, tab se alag baiTha hun
mera andaz 'nasir' ahl-e-jahan se hai juda
sab mein shamil hun, magar sab se alag baiTha hun

Ghazal
Din se dur, na mazhab se alag baiTha hun
Peer Nasiruddin Shah Naseer