din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae
aur hum rah-e-wafa mein koi do gam aae
tum kaho ahl-e-KHirad ishq mein kya kya biti
hum to is rah mein na-waqif-e-anjam aae
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsas mili
kaun kahta hai hum us bazm se nakaam aae
wo bhi kya din the ki ek qatra-e-mai bhi na mila
aaj aae to kai bar kai jam aae
ek hasin yaad se wabasta hain lakhon yaaden
ashk umanD aate hain jab lab pe tera nam aae
si liye honT magar dil mein KHalish rahti hai
is KHamoshi ka kahin un pe na ilzam aae
chand diwanon se raushan thi gali ulfat ki
warna fanus to lakhon hi sar-e-baam aae
ye bhi badle hue haalat ka partaw hai ki wo
KHalwat-e-KHas se ta jalwa-gah-e-am aae
ho ke mayus main paimana bhi jab toD chuka
chashm-e-saqi se piya pe kai paigham aae
shahr mein pahle se badnam the yun bhi 'zaidi'
ho ke mai-KHane se kuchh aur bhi badnam aae
Ghazal
Din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae
Ali Jawwad Zaidi