dije nahin kasu ko to phir lijiye bhi nahin
neki na ban sake to badi kijiye bhi nahin
tauqir-e-husn shart hai dil dene ke liye
gar husn hi na ho to kabhu rijhiye bhi nahin
howe agarche apni sharafat upar nigah
hargiz badi ke kaam pe dil dijiye bhi nahin
idhar se site jao aur udhar se phahTta jae
aise tarah ke kapDe ko phir sijiye bhi nahin
dena dilana sara hai ek nam ke liye
gar nam bhi na ho to abas chhijiye bhi nahin
koi sa moamla ho pahle chhan lijiye
yak-bargi bhaDak ke kabhu kijiye bhi nahin
mai ka maza jabhi hai ki jab mah-ru ho pas
gar mah-ru na howe to mai pijie bhi nahin
Ghazal
Dije nahin kasu ko to phir lijiye bhi nahin
nayan sukh