didani hai hamari zebai
hum ki hain husn ke tamannai
bas ye hai intiha talluq ki
zikr par un ke aankh bhar aai
tu na kar apni mahfilon ko udas
ras hai hum ko ranj-e-tanhai
hum to kah den 'salim' haal tera
kab wahan hai kisi ki shunwai
aur to kya diya bahaaron ne
bas yahi chaar din ki ruswai
hum ko kya kaam rang-e-mahfil se
hum to hain dur ke tamashai
wo junun ko baDhae jaenge
un ki shohrat hai meri ruswai
mo'taqid hain hamari wahshat ke
shahr mein jis qadar hain saudai
ishq sahib ne dil pe dastak di
aaie murshidi o maulai
ye zamane ka jabr hai ki 'salim'
ho ke mere bane hain saudai

Ghazal
Didani hai hamari zebai
Saleem Ahmed