didar ki hawas hai na shauq-e-visal hai
aazad har KHayal se mast-e-KHayal hai
kah do ye kohkan se ki marna nahin kamal
mar mar ke hijr-e-yar mein jina kamal hai
fatwa diya hai mufti-e-abr-e-bahaar ne
tauba ka KHun baada-kashon ko halal hai
aankhen bata rahi hain ki jage ho raat ko
in sagharon mein bu-e-sharab-e-visal hai
barsao tir mujh pe magar itna jaan lo
pahlu mein dil hai dil mein tumhaara KHayal hai
aankhen laDa ke un se hum aafat mein paD gae
palkon ki har zaban pe dil ka sawal hai
but kah diya jo main ne to ab bolte nahin
itni si baat ka tumhein itna KHayal hai
main daman-e-niyaz mein ashk-e-chakida hun
koi uTha ke dekh le uThna muhaal hai
puchha jo un se jaante ho tum 'jalil' ko
bole ki han wo shaer-e-nazuk-KHayal hai
Ghazal
Didar ki hawas hai na shauq-e-visal hai
Jaleel Manikpuri