dida-o-dil meri sarkar uTha lae hain
hum qafas mein bhi tera pyar uTha lae hain
kaise chhinenge bhala hum se mohabbat teri
hum tere kucha-o-bazar uTha lae hain
lakh viran sahi gosha-e-zindan lekin
hum to tere lab-o-ruKHsar uTha lae hain
zang-alud paDe the teri ghaflat ke sabab
hum wahi dard ke hathiyar uTha lae hain
hum se banTi na gain bachchon mein KHushiyan ab ke
id ke din rasan-o-dar uTha lae hain
husn-e-yusuf teri hurmat ko bachane ke liye
hum yahan misr ka bazar uTha lae hain
surKH-rui ki numaish thi sar-e-bazm-e-jahan
mere qatil meri dastar uTha lae hain
main to ek umr se KHamosh paDa tha 'safdar'
mere dushman mera pindar uTha lae hain
Ghazal
Dida-o-dil meri sarkar uTha lae hain
Safdar Saleem Sial