dida o dil mein koi husn bikharta hi raha
lakh pardon mein chhupa koi sanwarta hi raha
raushni kam na hui waqt ke tufanon mein
dil ke dariya mein koi chand utarta hi raha
raste bhar koi aahaT thi ki aati hi rahi
koi saya mere bazu se guzarta hi raha
miT gaya par teri banhon ne sameTa na mujhe
shahr dar shahr main galiyon mein bikharta hi raha
lamha lamha rahe aankhon mein andhere lekin
koi suraj mere sine mein ubharta hi raha
Ghazal
Dida o dil mein koi husn bikharta hi raha
Jaan Nisar Akhtar