dida-o-dil ki faza par gham ke baadal chha gae
us ke jate hi nigahon ke ufuq sanwla gae
dil to patthar ban gaya tha mom kis ne kar diya
muddaton baad aaj kyun aankhon mein aansu aa gae
thi sukut-e-dil se pahle bazm-e-hasti par KHarosh
phir wo sannaTa hua tari ki hum ghabra gae
be-hisi ka sard mausam zindagi par chha gaya
dil mein raushan the jo angare wo sab kajla gae
ru-ba-ru ek ajnabi chehra sawali ki tarah
aaina dekha to ai 'maKHmur' hum ghabra gae
Ghazal
Dida-o-dil ki faza par gham ke baadal chha gae
Makhmoor Saeedi