dida-e-kam-sifat andar se
tu ne dekhi hai raat andar se
KHwahish-e-nara-e-zafar-yabi
mujh ko honi hai mat andar se
KHair-maqdam na kar urus-e-chashm
luT chuki hai baraat andar se
ai fareb-e-barun-e-mausam-zard
sabz the sare pat andar se
apne ThanDe badan ko chhuta hun
junhi jalte hain hat andar se
hasrat-e-dad-e-justuju na rahi
aisi bigDi hai baat andar se
hae wo ghar ki jis mein pesh aae
dastki hadsat andar se
sharar-afshani-e-bayaz-e-ghazal
kya hue kaghzat andar se
surmai KHushbuon ke nashsha hai
raqs-farma hai raat andar se
koi lutf-e-ajab ki hai masdud
jihat-e-sad-jihat andar se
Ghazal
Dida-e-kam-sifat andar se
Hadis Salsal