dida-e-hairan ne tamasha kiya
der talak wo mujhe dekha kiya
zabt-e-fughan go ki asar tha kiya
hausla kya kya na kiya kya kiya
aankh na lagne se shab ahbab ne
aankh ke lag jaane ka charcha kiya
mar gae us ke lab-e-jaan-baKHsh par
hum ne ilaj aap hi apna kiya
bujh gai ek aah mein sham-e-hayat
mujh ko dam-e-sard ne ThanDa kiya
ghair ayaadat se bura mante
qatl kiya aan ke achchha kiya
un se pari-wash ko na dekhe koi
mujh ko meri sharm ne ruswa kiya
zindagi-e-hijr bhi ek maut thi
marg ne kya kar-e-masiha kiya
pan mein ye rang kahan aap ne
aap mere KHun ka dawa kiya
jaur ka shikwa na karun zulm hai
raaz mera sabr ne ifsha kiya
kuchh bhi ban aati nahin kya kijiye
us ke bigaDne ne kuchh aisa kiya
jae thi teri mere dil mein so hai
ghair se kyun shikwa-e-beja kiya
rahm falak aur mere haal par
tu ne karam ai sitam-ara kiya
sach hi sahi aap ka paiman wale
marg ne kab wada-e-farda kiya
dawa-e-taklif se jallad ne
roz-e-jaza qatl phir apna kiya
marg ne hijran mein chhupaya hai munh
lo munh usi parda-nashin ka kiya
dushman-e-'momin' hi rahe but sada
mujh se mere nam ne ye kya kiya
Ghazal
Dida-e-hairan ne tamasha kiya
Momin Khan Momin