did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai
hum ko kyun randa-e-dargah-e-nazar rakkha hai
shab ki dahliz se us samt hain rahen kaisi
parda-e-KHwab mein ye kaisa safar rakkha hai
saya-e-wasl-e-mohabbat ki wo KHalwat na sahi
ye bhi kafi hai KHayalon mein guzar rakkha hai
kitne ausaf mujhe apne ata us ne kiye
zauq-e-taKHliq diya mujh mein hunar rakkha hai
shaKH-dar-shaKH teri yaad ki hariyali hai
hum ne shadab bahut dil ka shajar rakkha hai
har ghaDi mujh pe nae aur jahan khulte hain
so bhi jaun to khula zehn ka dar rakkha hai
us ko qudrat hai jise jaisa bhi taKHliq kare
shukr hai us ka mujhe us ne bashar rakkha hai
Ghazal
Did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai
Saleem Figar