did ka israr musa lan-tarani koh-e-tur
hum ne aankhen band kin aur aa gae tere huzur
ab hinai dast ki hongi ijara-dariyan
aankh mein shabnam jabin ke nur mein rang-e-shuur
baat karna mausam-e-barsat ki pahli jhaDi
muskura ke dekhna qaus-e-quzah ka hai zuhur
phul basti mein chalen ham-joliyon ka sath hai
shahron shahron baDh gaya hai sang-zadon ka futur
pesh-e-KHidmat hai ye apni baat apna iddaa
dekhna harf-e-suKHan par kis ko hasil hai futur
Ghazal
Did ka israr musa lan-tarani koh-e-tur
Sughra Alam