did-e-gulzar-e-jahan kyun na karen sair to hai
ek din jaante hain KHatma-bilKHair to hai
'rind' waiz se abas karte ho shar KHair to hai
donon ghar ek hain kaba na sahi dair to hai
KHosha-chin banta hai kyun mazra-e-har-dahqan ka
wasf-e-insan nahin ye sifat-e-tair to hai
na basar howegi be-nashsha qadah-KHwaron ki
ho agar mai ki munadi hai falak sair to hai
aashna bahr-e-mohabbat ke shanawar hain sab
tu bhi us aag ke dariya ko agar pair to hai
rind-o-waiz ke bakheDon mein bhala kaun paDe
sab ko malum hai in donon mein ek bair to hai
murgh-e-dil mardum-e-bimar pe sadqa kar Dal
waste sehhat-e-jaan ke amal-e-tair to hai
jaise uDti si suni hai KHabar-e-qatl-e-safir
puchhta phirta hun ek ek se kyun KHair to hai
saqiya chand ghaDe mai ke qadah-KHwaron mein
sarf lillah agar hon amal-e-KHair to hai
dar-guzar hota hai aur hoga ba-qadr-e-imkan
aaKHir-e-kar ye pa-posh-o-sar-e-ghair to hai
kah liye 'rind' ne sab qafiye koi na chhuTa
angrezi magar ek qafiya-e-fair to hai
Ghazal
Did-e-gulzar-e-jahan kyun na karen sair to hai
Rind Lakhnavi