dibacha-e-kitab-e-wafa hai tamam umr
ek lamha-e-shuur-e-fana hai tamam umr
mahrumiyon ne sath diya hai tamam umr
ek dard hai ki dil mein raha hai tamam umr
kyun mere lab pe aai gham-e-agahi ki baat
gustaKHi-e-KHirad ki saza hai tamam umr
yaad-e-KHuda mein ji na laga hai ye aur baat
KHauf-e-KHuda to dil mein raha hai tamam umr
aa KHalwat-e-'sarosh' mein ai marg-e-na-gahan
tera hi intizar kiya hai tamam umr

Ghazal
Dibacha-e-kitab-e-wafa hai tamam umr
Rifat Sarosh