اردو हिंदी
Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna | Shaahi Shayari
Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna

Ghazal

Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna

Hasan Nasir

;

Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna
phir kabhi un par laga kar hashiye rakh chhoDna

yaad ki album saja kar gosha-e-dil mein kahin
kaam aaenge wafa ke silsile rakh chhoDna

ye bhi kya pahle dikha kar manzilon ke raste
phir dilon ke darmiyan kuchh fasle rakh chhoDna

kya KHabar kab lauT aaen ajnabi deson se wo
peD par mahfuz un ke ghonsle rakh chhoDna

dard ke raste 'hasan'-nasir rawan rahte to hain
har qadam par tum magar raushan diye rakh chhoDna