dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len
kuchh tajalli ki huzuri ka bhi yara kar len
aaj ka din bhi yunhi bit gaya sham hui
aur ek raat ka kaTna bhi gawara kar len
jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen
un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len
jin malalon se lahu dil ka bana hai aansu
un ke aankhon se barasne ka nazara kar len
ehtiyaton ki guzargahen hui hain sunsan
ab chhupaya hua har ghaw huwaida kar len
Ghazal
Dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len
Mukhtar Siddiqui