dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai
bite lamhe yaad aate hain dil rota hai
band dariche saf-basta gum-sum diwaren
shahar ki virani se mujh ko KHauf aata hai
jaane logon ki aawazen kya kahti hain
jaane har jaanib kyun gahra sannaTa hai
kahte hain aa aa ke mujh ko unTon wale
sahra mein bijli chamki hai meinh barsa hai
baDhte hi jate hain diwaron ke sae
dhup ka sundar jauban ab Dhalta jata hai
pahron baiTha un ki baaton ko sunta hun
kaghaz ki taswiron se ji KHush hota hai
hamdam aise log kahan se DhunDh ke laun
jin ki baaton se dil ka ghuncha khilta hai
Ghazal
Dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai
Jameel Yusuf