dhup thi sahra tha lekin jism ka saya na tha
aadmi is se ziyaada to kabhi tanha na tha
khinchte the apni jaanib regzaron ke sarab
dur tak sahra mein lekin aab ka qatra na tha
ek mubham KHwab tha aankhon mein aur dil mein junun
zehn mein lekin imarat ka koi naqsha na tha
bhiD thi basti mein lekin main kise pahchanta
itne logon mein kisi bhi shaKHs ka chehra na tha
is qadar shiddat se wo dariya samundar se mila
ab samundar hi samundar tha kahin dariya na tha
ghar ki azmat hae jis diwar se mahfuz thi
ghar ke darwaze pe ab wo TaT ka parda na tha
wo ghazal apni sajata tha lahu ke rang se
phir bhi kahte hain 'nafas' us ka koi pesha na tha
Ghazal
Dhup thi sahra tha lekin jism ka saya na tha
Nafas Ambalvi