dhup shajar ko git sunae aati hai
titli sare rang churae aati hai
un ashaar ka KHush hona to lazim hai
jin ashaar pe un ki rae aati hai
thoDi der mein train nikalne wali hai
sun thoDi hi der mein chae aati hai
is lamhe par lag jate hain ghar ko bhi
jab jab wo is samt sarae aati hai
yani us ne Than hi li hai jaane ki
wo pura saman uThae aati hai
KHun bahati hai 'basit' kohsaron par
sham andheri raat chhupae aati hai
Ghazal
Dhup shajar ko git sunae aati hai
Vasaf Basit