dhup se bar-sar-e-paikar kiya hai main ne
apne hi jism ko diwar kiya hai main ne
jab bhi sailab mere sar ki taraf aaya hai
apne hathon ko hi patwar kiya hai main ne
jo parinde meri aankhon se nikal bhage the
un ko lafzon mein giraftar kiya hai main ne
pahle ek shahr teri yaad se aabaad kiya
phir usi shahr ko mismar kiya hai main ne
bar-ha gul se jalaya hai gulistanon ko
bar-ha aag ko gulzar kiya hai main ne
jaanta hun mujhe maslub kiya jaega
KHud ko sach kah ke gunahgar kiya hai main ne

Ghazal
Dhup se bar-sar-e-paikar kiya hai maine
Shakeel Azmi