dhup sat rangon mein phailti hai aankhon par
barf jab pighalti hai us ki narm palkon par
phir bahaar ke sathi aa gae Thikanon par
surKH surKH ghar nikle sabz sabz shaKHon par
jism o jaan se utregi gard pichhle mausam ki
dho rahi hain sab chiDiyan apne pankh chashmon par
sari raat sote mein muskura raha tha wo
jaise koi sapna sa kanpta tha honTon par
titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana
kitna achchha lagta hai phul jaise bachchon par
lahr lahr kirnon ko chheD kar guzarti hai
chandni utarti hai jab sharir jharnon par
Ghazal
Dhup sat rangon mein phailti hai aankhon par
Parveen Shakir