dhup ruKHsat hui sham aai sitara chamka
gard jab baiTh gai nam tumhaara chamka
har taraf pani hi pani nazar aata tha mujhe
tum ne jab mujh ko pukara to kinara chamka
muskuraati hui aaankhon se mila izn-e-safar
shahr se dur na jaane ka ishaara chamka
ek tahrir ki jo saf paDhi bhi na gai
magar ek rang mere ruKH pe dobara chamka
aaj ek KHwab ne phir zehn mein angDai li
aur tufan mein tinke ka sahaara chamka
sazgar aane lagi thi hamein KHalwat lekin
ji mein kya aai ki phir zauq-e-nazara chamka
jhilmilane lagin mahfil mein charaghon ki lawen
ruKHsat ai ham-nafaso subh ka tara chamka

Ghazal
Dhup ruKHsat hui sham aai sitara chamka
Rabab Rashidi