dhup rakh di thi muqaddar ne sirhane mere
umr-bhar aag mein jalte rahe shane mere
main tere nam ka aamil hun wo ab jaan gae
hadse ab nahin DhunDhenge Thikane mere
chand si un ki wo KHush-rang qaba wo dastar
un ki darweshi pe qurban KHazane mere
mauj-e-rang aai kuchh is taur ki dil jhum uTha
hosh gum kar diye sarmast hina ne mere
phir koi lams mere jism mein shoale bhar de
phir se yun ho ki palaT aaen zamane mere
ja tujhe chhoD diya ai gham-e-dauran main ne
warna KHali nahin jate hain nishane mere
aisa lagta tha ki lauT aae hain guzre hue din
mil gae the mujhe kuchh dost purane mere
zindagi dekh li main ne teri duniya ki jahan
waqt ne chhin liye KHwab suhane mere
ab main sahil pe nahin main hun tah-e-ab-e-rawan
shahr-dar-shahr hain honTon pe fasane mere
gir paDa sail-e-hawadis mere qadmon pe 'bashir'
hath thame jo buzurgon ki dua ne mere
Ghazal
Dhup rakh di thi muqaddar ne sirhane mere
Bashir Farooqi