dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin
hum wahan hain jahan diwar ka saya bhi nahin
jaane kyun dil mera bechain raha karta hai
milna to dur raha us ko to dekha bhi nahin
aap ne jab se badal Dala hai jine ka chalan
ab mujhe talKHi-e-ahbab ka shikwa bhi nahin
mai-kada chhoDe hue mujh ko zamana guzra
aur saqi se mujhe dur ka rishta bhi nahin
dam mein rakhta parindon ki uDanen lekin
par katarne ka magar us ko saliqa bhi nahin
muskurahaT mein koi tanz bhi ho sakta hai
ye masarrat ki alam-dar ho aisa bhi nahin
lakh yaadon ki taraf lauT ke jaun 'shahin'
parda-e-dil par ab us shaKHs ka chehra bhi nahin
Ghazal
Dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin
Salma shaheen