dhup mein hum hain kabhi hum chhanw mein 
raste uljhe hue hain panw mein 
bastiyon mein hum bhi rahte hain magar 
jaise aawara hawa sahraon mein 
hum ne apnaya daraKHton ka chalan 
KHud kabhi baiThe na apni chhanw mein 
kis qadar nadan hain ahl-e-jahan 
hum gine jaane lage danaon mein 
samne kuchh der lahraate rahe 
phir wo sahil bah gae dariyaon mein 
ek yahi duniya badalti hai 'farogh' 
kaisi kaisi ajnabi duniyaon mein
        Ghazal
Dhup mein hum hain kabhi hum chhanw mein
Rais Farogh

