dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal
ai dil-e-sada sawad-e-jabr se bahar nikal
kal ka suraj shad-kaami ki KHabar de ya na de
chhoD andeshe hisar-e-zat se bahar nikal
main kai sadiyon se gum hun KHwab ke sakraat mein
aaftab-e-subh-e-bedari mere sar par nikal
sahilon par tere istiqbaal ko aaya hai kaun
Dubne wale ubhar phir sath-e-dariya par nikal
ahd dar-o-gir hai apna tashaKHKHus gum na kar
soch ki sari fasilen toD kar bahar nikal
tisri duniya munawwar ho mere afkar se
mehr-e-azadi mere ehsas ke andar nikal
apne KHad-o-KHal dekhun main bhi ai sultan-'rashk'
meri aankhon se magar ai KHwab ke manzar nikal
Ghazal
Dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal
Sultan Rashk