اردو हिंदी
Dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal | Shaahi Shayari
dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

Ghazal

Dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

Sultan Rashk

;

dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal
ai dil-e-sada sawad-e-jabr se bahar nikal

kal ka suraj shad-kaami ki KHabar de ya na de
chhoD andeshe hisar-e-zat se bahar nikal

main kai sadiyon se gum hun KHwab ke sakraat mein
aaftab-e-subh-e-bedari mere sar par nikal

sahilon par tere istiqbaal ko aaya hai kaun
Dubne wale ubhar phir sath-e-dariya par nikal

ahd-e-dar-o-gir hai apna tashaKHKHus gum na kar
soch ki sari fasilen toD kar bahar nikal

tisri duniya munawwar ho mere afkar se
mehr-e-azadi mere ehsas ke andar nikal

apne KHadd-o-KHal dekhun main bhi ai 'sultan-rashk'
meri aankhon se magar ai KHwab ke manzar nikal